Gdp kya hai in Hindi
![Image](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgC_5e9tTxKgQWxuZ3lm9Hdgz_Aq24paOX_ufAXkFot0qaT1al-wn8GUvcqlZI11o8BiETZAdO907h8oNzLmI7-RxJ-5__tX5BJGgDeE1sUFk_ex_DgcU9TYAidJqcShpAW_6eWDRhYUcMK/s1600/1633335451308556-0.png)
GDP, GNP, NDP, NNP kya h? Kisi v country ki economic health ko batati h us country ki GDP, aur usi se related h GNP, NDP,NNP In se hi pata chal pata h k kaun si country kitna progress kar rahi h aur uski economic health kaisi h kb Kaun country kitni aage badh rahi h, kitni neeche ja rahi h Yeh sb GDP se hi ek country ka comparison dusre country se kiya jata h us country k value ko samajhne k liye. Toh aaiye aaj hum samajhte hain in sari baaton ko Yeh hote kya hain aur inko calculate kaise kiya jata h? Starting karte hain sb se most important thing GDP se. Aaiye samajhte hain GDP kisko kehte hain aur ise calculate kaise kiya jata h? GDP aksar sunne ko milta rehta h specially political leaders k zaban se elections k time sunne milta h, k hum apne country ki GDP itni kar denge, utni kar denge samajhne ko toh kux log samajhte hain k asal me GDP kya hoti h per aksar log nhi samajh pate. GDP ka full form hota...